Sep 4, 2014

Her chand sahara hai tere pyaar ka dil ko

Rehta hai magar aik ajab khouf sa dil ko 

Woh khwaab dukhaa na kabhi le urra neendain 

Woh dard keh utha na kabhi kha gaya dil ko 

Yahan saans ka lena bhi guzar jaana hai jee se

Yahan maarka-e-ishq bhi ik khail tha dil ko

Woh ayein to hairaan woh jayein to parishaan 

Ya rab koi samjhaye yeh kiya ho gaya dil ko

Rehta hai magar aik ajab sa khouf sa dil ko

Her chand sahara hai tere pyaar ka dil ko

Rehta hai magar aik ajab khouf sa dil ko 

Woh khwaab dukhaa na kabhi le urra neendain 

Woh dard keh utha na kabhi kha gaya dil ko 

Yahan saans ka lena bhi guzar jaana hai jee se

Yahan maarka-e-ishq bhi ik khail tha dil ko

Woh ayein to hairaan woh jayein to parishaan 

Ya rab koi samjhaye yeh kiya ho gaya dil ko

MAin hoon ya tu hai , khud se gurazan jaisay

Mere aagay koi saya hai , kharaman jaisay 

Tujh se pehlay to bahaaron ka , yeh andaaz na tha 
Phool youn khiltay hain , Jalta ho gulistaan jaisay 

Youn teri yaad se hota hai , ujaala dil main 
Chandani main chamak uthta hai , baiyabaan jaisay 

Dil main roshan hai , abhi tak tere wadon kay chragh 
Toot'ti raat ki tarah ho, farozan jaisay 

Waqat badla par , na badla mera miyaar-e-wafa 
Aandiyon main , sar-e-kohsaar chragan jaisay 

Zakham barhaata hai zamana, magar is tarah 
Si raha ho koi , phoolon kay giribaan jaisay 

Main hoon ya tu hai , khud se gurazan jaisay 

Sakoon mohaal hai ajmad wafa kay raastay main

Kabhi chragh jalay hain hawa kay raastay main 

Na'janay ab kay baras  khaitiyon pe kiya guzray 
Kai pahaar kharay hain hawa kay raastay main 

Qadam qadam pe qadam larkharaye jaatay hain 
Buuton kay dhair lagay hain khuda kay raastay main 

Dair-e-ehal mohabbat main kis ne di awaaz
Hazaar saaz bajtay hain sada kay raastay main 

Siwaye dard-e-mohabbat ' ba'juz ghubaar-e-safar 
Koi rafeeq na paya wafa kay raastay main 

Dil main ik tasveer chupi thi , aan basi hai aankhon main

Shayed hum ne aaj ghazal se baat likhi hai aankhon main 

Jaisay aik asmaani larki mandar kay darwazay par 
Shaam diyon kay thaal sajaye jhaank rahi hai aankhon main 

Is romaal ko kaam main laa'on apni palkain saaf karoon 
Mayla mayla chaand nahin hai dhool jami hai aankhon main 

Parhta ja yeh manzir'nama zard azeem paharon ka 
Dhoop khili palkon kay oopar , baraf jami hai aankhon main 

Main ne aik noval likha hai aanay wali subha kay naam 
Kitni raaton jaaga hoon , neend bharri hai aankhon main

Walkin with a friend in the dark

 Walking with a friend 

in the dark 

is better then walking alone 

in the light

Helen Keller

Mother Teresa

Joy is a

net of love 

by which you can  catch souls

Mother Teresa
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...