Oct 29, 2014

Jab sr-e-sham us ne zulfon ko sanwara ho ga

Hath me kngan aankh me kajal awara ho ga

Us k jooray me sja wo sufaid gulaab

Raat ko sote me kisi ne to utara ho ga

Aalm-e-tnhaai me shab bhar krwtain lay kr

Koyi to ho ga jisay us ne pukara ho ga

Haae! Wo neend me doobi hovi makhmoor aankhain

Jis ne daikha wo dil waheen pe hara ho ga

Os k bay taab lrzte huway honton pe faraz

Humein yaqeen hai machlta huwa wo naam humara ho ga

Dil toro ge to khud bhi toot jao gay

Dil toro ge to khud bhi toot jao gay

Zinda hum na rahein to mar tum bhi jao gay

Ye iltaja hai basa lo hamen ankhon main

Sanwar hum jayen gay saj tum bi jao gay

mujhe chorne ka irada kabhi na krna 

warna toot hum jayn ge or bikhar tum bhi jao gay

Salok-e-narwa ka is liye shikwa nhe krta

Keh mein bhi to ksi ki bat ki prwa nahin krta

Boht kmzor hon apni larai ap lrta hon

Mein dil ki bat kbi dewar pr likha nhe krta

Agr pr jay adat ap apny sath rehny ki

Yi sath aisa hy K insan ko kbi tanha nhe krta

Zameen peron sy kitni bar he din mein niklti hein

Mein aysy hadson pr dil magr chota nhe krta

Kisi ki rah main ankhen bicha kr kuch nahin milta

Yeh dunya bewafa hai dil laga kr kuch nahin milta

Koi bhi lot kr ata nhi anso bahany say

Kisi ki yad me dil ko rula kr kuch nahin milta

Kisi k dil pay kya guzry kisi ko kya khabr is ki

Kisi ko apna hal-e-dil suna k kuch nahin milta

Jo dil me baat hoti hai wohi ankhen batati hain

Koi bhi baat ho dil me chupa k kuch nahin milta

Kisi ka ishq kisi ka khyal they hum bhi

Kisi ka ishq kisi ka khyal they hum bhi

Gaye dinon mein bohat ba kamal they hum bhi

Hamari khoj mein rehti thein titlyan aksar

K apny shehr ka husn-o-jamal they hum bhi

Zameen ki goad mein sir rakh k so gaye akhir

Tumhary hijr mein kitny nidhal they hum bhi

Hum aks aks bikharty rahey isi dhun mein

K zindagi mein kabhi laazwal they hum bhi

Kisi ki yad ne hum ko nikama kar dala

Warna aadmi to be misal they hum bhi

Na Zahir Hui un Se, Na Bayaa'n Hui Hum Se

Bas Suljhi Hui Aankhon Me, Uljhi Rahi Mohabbat

Suno kaisay parhtay hain janaza un ka

Suno 

Kaisay Parhtay Hain 

JanaZa UnKa 

Woh Khuwaab 

Jo Seenay Main Mar Jatay Hain 

Hath me kngan aankh me kajal awara ho ga

Jb sr-e-sham us ne zulfon ko sanwara ho ga

Hath me kngan aankh me kajal awara ho ga

Us k jooray me sja wo sufaid gulaab

Raat ko sote me kisi ne to utara ho ga

Aalm-e-tnhaai me shab bhar krwtain lay kr

Koyi to ho ga jisay us ne pukara ho ga

Haae! Wo neend me doobi hovi makhmoor aankhain

Jis ne daikha wo dil waheen pe hara ho ga

Os k bay taab lrzte huway honton pe faraz

Humein yaqeen hai machlta huwa wo naam humara ho ga

Ye iltaja hai basa lo hamen ankhon main

Dil toro ge to khud bhi toot jao gay

Zinda hum na rahein to mar tum bhi jao gay

Ye iltaja hai basa lo hamen ankhon main

Sanwar hum jayen gay saj tum bi jao gay

mujhe chorne ka irada kabhi na krna 

warna toot hum jayn ge or bikhar tum bhi jao gay

Keh mein bhi to ksi ki bat ki prwa nahin krta

Salok-e-narwa ka is liye shikwa nhe krta

Keh mein bhi to ksi ki bat ki prwa nahin krta

Boht kmzor hon apni larai ap lrta hon

Mein dil ki bat kbi dewar pr likha nhe krta

Agr pr jay adat ap apny sath rehny ki

Yi sath aisa hy K insan ko kbi tanha nhe krta

Zameen peron sy kitni bar he din mein niklti hein

Mein aysy hadson pr dil magr chota nhe krta

Yeh dunya bewafa hai dil laga kr kuch nhi milta

Kisi ki rah me ankhen bicha kr kuch nhi milta

Yeh dunya bewafa hai dil laga kr kuch nhi milta

Koi bhi lot kr ata nhi anso bahany say

Kisi ki yad me dil ko rula kr kuch nhi milta

Kisi k dil pay kya guzry kisi ko kya khabr is ki

Kisi ko apna hal-e-dil suna k kuch nhi milta

Jo dil me baat hoti hai wohi ankhen batati hain

Koi bhi baat ho dil me chupa k kuch nhi milta

Gaye dinon mein bohat ba kamal they hum bhi

Kisi ka ishq kisi ka khyal they hum bhi

Gaye dinon mein bohat ba kamal they hum bhi

Hamari khoj mein rehti thein titlyan aksar

K apny shehr ka husn-o-jamal they hum bhi

Zameen ki goad mein sir rakh k so gaye akhir

Tumhary hijr mein kitny nidhal they hum bhi

Hum aks aks bikharty rahey isi dhun mein

K zindagi mein kabhi laazwal they hum bhi

Kisi ki yad ne hum ko nikama kar dala

Warna aadmi to be misal they hum bhi

Kat hi gayi judai bhi , kab yeh hua keh mar gaye

Teray bhi din guzar gaye , meray bhi din guzar gaye

Too bhi kuch aur aur hai , hum bhi kuch aur aur hain 
Janay woh tum kidhar gaye . janay woh hum kidhar gaye 

Waqat hi judaai ka itna taveel ho gaya 
Dil main teray wisaal kay jitnay thay zakham bhar gaye 

Woh ghubaar-e-khaak tha , hum bhi ghubaar-e-khaak thay 
Woh bhi kahin bikhar gaya , hum bhi kahin bikhar gaye 

Nazar mila kay meray paas aa kay loot liya

Nazar hatti thi keh phir muskura kay loot liya 

Duhaai hai meray Aalh ki dohaai hai 
Kisi ne mujh se hi mujh ko chupa kay loot liya 

Salaam us pe keh jis ne utha kay parda-e-dil 
Mujhi main reh kay mujhi main sama kay loot liya 

Yahaan to khud teri hasti hai ishq ko darkaar 
Woh aur hon gay jinhain muskuraa kay loot liya 

Nigah daal di jis par haseen aankhon ne 
Ussay bhi hussan-e-mujasam bana kay loot liya 

Kabhi socha hai

Kabhi socha hai 
Hamaray rishtay ka naam kiya hai 
Mohabbat , zaroorat , khwaish , junoon , ishq
Ya
Woh rishta jo
Asmaan ka zameen se hai 
Baarish ka sehra se hai 
Haqeeqat ka khwaabon se hai 
Din ka raat se hai 
Yeh bhi aik doosray se mil nahin saktay 
Lakin aik doosray kay baghair adhooray bhi hain 
Shayed aisa hi kuch rishta 
Mera aur tumhara bhi hai 

Koi to ho jo meri soch ko kitaab karay

Koi to ho jo meri soch ko kitaab karay 

Aur apnay lafz meray naam intisaab karay 

Main apni chandani raaton main us kay geet likhon 

Woh meray dard kay sehra ko pgir chinaab karay 

MAin us es pyaar karon aur be'kinaar karon 

Woh mujh pe zulam karay aur be'hisaab karay 

Main dhoop ban kar nikharta rahoon bikharta rahoon 

Woh mujh ko khud main samaitay to aftaab karay 

Ab is tarah ka saathi kab milay ga faraz 

Muddaton baad dekha unhain

Muddaton baad dekha unhain 
Hosh kaisay thikaanay lagay 

Ashk palkon pe aye meri 
Aur lab thar'thraanay lagay 

Jaanay kaisi hawa chali 
Phool phir muskuraanay lagay 

Jin ko mushkil se bhoolay thay hum 
Phir wohi yaad anay lagay 

Gham-e-firaaq se pehlay shab-e-wisaal kay baad

Hai aur kiya jissay dekhaye teray jamaal kay baad 

Tamaam umar kaati intizaar main apni 
Koi bhi dukh na mila phir teray malaal kay baad 

Jawaab mil gaya mujh ko teri khamoshi se 
Tumharay lafaz kiyon khoye meray sawaal kay baad 

Tumharay meray taaluq pe youn khizaan chali 
Kabhi urooj nahin hai jissay zawaal kay baad 

Main teri yaad kay charchay ko dhaamp doon lakin 
Bachay ga kiya meri jholi main is kamaal kay baad 

Woh ab ki baar mila is qadar takaluf se 
Keh kuch bhi nahin pooch paya main us se haal kay baad

Lahoo ronay se darta hoon , juda honay se darta hoon

Meri aankhain bata'ti hain keh main ab sonay se darta hoon 

Meri ungli pakar lena mujhay tanha nahin karna 
Yeh duniya aik mela hai tumhain khonay se darta hoon 

Jo hansti hoon to kiyon palkon kay goshay bheeg jaatay hain 
Tumhain maloom hai main is tarah ronay se darta hoon 

Yeh jab se khwaab dekha hai tum mujhay chor jaao gay 
Main ab darta hoon khwaabon se main ab sonay se darta hoon 

Udaasiyon ka yeh mousam badal bhi sakta hai

Woh chahta to meray saath bhi chal sakta hai 

Woh shakhs jissay tu ne chornay main jaldi ki 
Teray mizaaj kay saanchay main dhal bhi sakta hai 

Woh jald baaz khafa ho kar chal diya warna 
Tnazaat ka koi hal nikal bhi sakta hai 

Anaa ne haath uthanay nahin diya warna 
Meri dua se woh pathar pighal bhi sakta tha 

Tamaam umar teray muntazir rahay Mohsin 
Yeh aur baat hai keh woh raasta badal bhi sakta hai 

Faraz ab koi gham koi junoon bhi nahin

Faraz ab koi gham koi junoon bhi nahin 
MAgar qaraar se din kat rahay hon youn bhi nahin 

Lab-o-lehja bhi mila , guftagoo ka fun bhi 
Magar hoo dil pe guzarti hai keh sakoon bhi nahin 

Na janay kiyon meri aankhain barasnay lagti hain 
Jo sach kahoon to kuch aisa udaas hoon bhi nahin 

Meri zubaan ki luknat se bad gumaan mat hona 
Jo tu kahay to umar bhar tujhay milon bhi nahin 

Faraz jaisay dil qurbat-e-hawa chahaye 
Woh paas aye to mumkin hai keh main rahoon bhi nahin 

Kiyon hamain mout kay paighaam diye jaatay hain

Yeh saza kam to nahin hai keh jiye jaatay hain 

Hum hain ek shamma magar dekh , bujhtay bujhtay 
Roshni kitnay andheron ko diye jaatay hain 

Nasha dono main hai saaqi , mujhay gham dy keh shraab 
Meh bhi pee jaati hai , aansoo bhi piyea jaatay hain 

Tujh ko barson se kiyon hai tarq-e-taaluq ka khyaal 
Faisalay woh hain jo pal bhar main liye jaatay hain 

Apni taarekh-e-mohabbat kay woh hi hain soorat 
Hans kar her saans par jo zehar piye jaatay hain 

Abgeeno ki tarah dil hain ghreebon kay Faraz
Toot jaatay hain kabhi tor diye jaatay hain 

kaash tum jaan saktay is mohabbat ko

Tum jaan saktay is mohabbat ko 
Kaash 
Kaash tum dekh saktay 
Tootay huye dil ko 
Behtay huye aansoon ko 
Is adhooray mousam ko 
Kaash tum par saktay 
Meray haathon ki lakeeron ko 
Khwaish ki tabeeron ko 
Dil kay afsaano ko 
Kaash tum samjh saktay 
Meray lafzon ki gehraai ko 
Honton ki sachai ko 
Mehfil ki tanhai ko 
Kaash tum jor saktay 
IS dil ko 
Is rishtay ko 
Is waday ko 
Lakin yeh soch kar khamosh ho jaata hoon 
Kaash 
Tum jaan saktay is mohabbat ko 
Kaash 
Kaash 

Hamaray rishtay ka naam kiya hai

Kabhi socha hai 
Hamaray rishtay ka naam kiya hai 
Mohabbat , zaroorat , khwaish , junoon , ishq
Ya
Woh rishta jo
Asmaan ka zameen se hai 
Baarish ka sehra se hai 
Haqeeqat ka khwaabon se hai 
Din ka raat se hai 
Yeh bhi aik doosray se mil nahin saktay 
Lakin aik doosray kay baghair adhooray bhi hain 
Shayed aisa hi kuch rishta 
Mera aur tumhara bhi hai 

Main apni chandani raaton main us kay geet likhon

Koi to ho jo meri soch ko kitaab karay 

Aur apnay lafz meray naam intisaab karay 

Main apni chandani raaton main us kay geet likhon 

Woh meray dard kay sehra ko pgir chinaab karay 

MAin us es pyaar karon aur be'kinaar karon 

Woh mujh pe zulam karay aur be'hisaab karay 

Main dhoop ban kar nikharta rahoon bikharta rahoon 

Woh mujh ko khud main samaitay to aftaab karay 

Ab is tarah ka saathi kab milay ga faraz 

Jaanay kaisi hawa chali

Muddaton baad dekha unhain 
Hosh kaisay thikaanay lagay 

Ashk palkon pe aye meri 
Aur lab thar'thraanay lagay 

Jaanay kaisi hawa chali 
Phool phir muskuraanay lagay 

Jin ko mushkil se bhoolay thay hum 
Phir wohi yaad anay lagay 

Hai aur kiya jissay dekhaye teray jamaal kay baad

Gham-e-firaaq se pehlay shab-e-wisaal kay baad 
Hai aur kiya jissay dekhaye teray jamaal kay baad 

Tamaam umar kaati intizaar main apni 
Koi bhi dukh na mila phir teray malaal kay baad 

Jawaab mil gaya mujh ko teri khamoshi se 
Tumharay lafaz kiyon khoye meray sawaal kay baad 

Tumharay meray taaluq pe youn khizaan chali 
Kabhi urooj nahin hai jissay zawaal kay baad 

Main teri yaad kay charchay ko dhaamp doon lakin 
Bachay ga kiya meri jholi main is kamaal kay baad 

Woh ab ki baar mila is qadar takaluf se 
Keh kuch bhi nahin pooch paya main us se haal kay baad

Main ab sonay se darta hoon

Lahoo ronay se darta hoon , juda honay se darta hoon 
Meri aankhain bata'ti hain keh main ab sonay se darta hoon 

Meri ungli pakar lena mujhay tanha nahin karna 
Yeh duniya aik mela hai tumhain khonay se darta hoon 

Jo hansti hoon to kiyon palkon kay goshay bheeg jaatay hain 
Tumhain maloom hai main is tarah ronay se darta hoon 

Yeh jab se khwaab dekha hai tum mujhay chor jaao gay 
Main ab darta hoon khwaabon se main ab sonay se darta hoon 

Woh chahta to meray saath bhi chal sakta hai

Udaasiyon ka yeh mousam badal bhi sakta hai 
Woh chahta to meray saath bhi chal sakta hai 

Woh shakhs jissay tu ne chornay main jaldi ki 
Teray mizaaj kay saanchay main dhal bhi sakta hai 

Woh jald baaz khafa ho kar chal diya warna 
Tnazaat ka koi hal nikal bhi sakta hai 

Anaa ne haath uthanay nahin diya warna 
Meri dua se woh pathar pighal bhi sakta tha 

Tamaam umar teray muntazir rahay Mohsin 
Yeh aur baat hai keh woh raasta badal bhi sakta hai 

MAgar qaraar se din kat rahay hon youn bhi nahin

Faraz ab koi gham koi junoon bhi nahin 
MAgar qaraar se din kat rahay hon youn bhi nahin 

Lab-o-lehja bhi mila , guftagoo ka fun bhi 
Magar hoo dil pe guzarti hai keh sakoon bhi nahin 

Na janay kiyon meri aankhain barasnay lagti hain 
Jo sach kahoon to kuch aisa udaas hoon bhi nahin 

Meri zubaan ki luknat se bad gumaan mat hona 
Jo tu kahay to umar bhar tujhay milon bhi nahin 

Faraz jaisay dil qurbat-e-hawa chahaye 
Woh paas aye to mumkin hai keh main rahoon bhi nahin 

Abgeeno ki tarah dil hain ghreebon kay Faraz

Kiyon hamain mout kay paighaam diye jaatay hain 
Yeh saza kam to nahin hai keh jiye jaatay hain 

Hum hain ek shamma magar dekh , bujhtay bujhtay 
Roshni kitnay andheron ko diye jaatay hain 

Nasha dono main hai saaqi , mujhay gham dy keh shraab 
Meh bhi pee jaati hai , aansoo bhi piyea jaatay hain 

Tujh ko barson se kiyon hai tarq-e-taaluq ka khyaal 
Faisalay woh hain jo pal bhar main liye jaatay hain 

Apni taarekh-e-mohabbat kay woh hi hain soorat 
Hans kar her saans par jo zehar piye jaatay hain 

Abgeeno ki tarah dil hain ghreebon kay Faraz
Toot jaatay hain kabhi tor diye jaatay hain 

Oct 28, 2014

Ajeeb log hain kiya khoob munsafi ki hai

Hamaray qatal ko kehtay hain khud kushi ki hai 

Yeh baankpan tha hamara  keh zulam par hum ne 
Bajaye naala-o-fariyaad shairy ki hai 

Zara se paaon bhigoye thay ja kay dariya main 
Ghuroor yeh hai keh hum ne shanaawari ki hai 

Isi lahoo main tumhara safeena doobay ga 
Yeh qatal-e-aam nahin , tum ne khud kushi ki hai 

Hamari qadar karo chodween kay chaand hain hum 
Khud apnay daagh dikhaanay ko roshni ki hai 

Udaasiyon ko hafeez aap apnay ghar rakhain 
Keh anjuman ko zaroorat shaguftagi ki hai 

Uljhaao ka maza bhi teri baat hi main tha

Tera jawaab teray sawalaat hi main tha 

Saya kisi yaqeen ka bhi jis par na par saka 
Woh ghar bhi shaher-e-dil ki muzaafaat hi main tha 

Ilzaam kiya hai yeh bhi na jana tamaam umar 
mulzim tamaam umar hawalaat hi main tha 

Ab to faqat badan ki murawat hai darmiyaan 
Tha rabt jaan-o-dil ka to shoruaat hi main tha 

Mujh ko to qatal kar kay manaata raha hai jashan 
Woh zi'lihaaz shakhs meri zaat hi main tha 

Kiya sar-o-kaar ab kisi se mujhay

Kiya sar-o-kaar ab kisi se mujhay 
Waasta tha to tha tujhi se mujhay 

Be'hissi ka bhi ab nahin ehsaas
Kiya hua teri be'rukhi se mujhay 

Mout ki aarzoo bhi kar dekhon 
Kiya umeedain thi zindagi se mujhay 

phir kisi pe na aaitabaar aya 
Youn utaaro na apnay jee se mujhay 

Tera gham bhi na ho to kiya jeena 
Kuch tasali hai dard hi se mujhay 

Kar gaye kis qadar tabbah "Zia"
Dushman , andaaz-e-dosti se mujhay 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...