Judai kay baad pehli nazam
Shafaq roi hui aankhon ki maanind
Sitaray mujh ko aansoo dikh rahay hain
Mujhay in patiyon ki sar'sarahat
Dabi aahon ki maanind lag rahi hai
Prinday boltay hain to !
Mujhay lagta hai keh jaisay
Yeh saray bain kartay hon
Main murjhaai hui , nochi hui
Mujhay us dam khili kaliyaan
Youn lagti hain !
Keh jaisay in ki be'bas zindagi par muskurati hon
Na janay kiyon
Meri aankhon ko her manzir bhout tareek lagta hai
Mujhay sab gham to dikhtay hain
Magar khushiyon bharay mousam
Na janay kiyon nahin dikhtay
Na janay woh shafaq , woh chand taray
Phool aur kaliyan
Jo in khushiyon bharay sab mousamon main
Roshni kay ista'aray thay
Kahan par chup kar baithay hain
Dikhaai kiyon nahin detay ?
Prinday cheh'chahatay hain
Ya pattay sar'saratay hain
To woh naghmay !
Jo in khushiyon bharray sab mousamon ki
Goonj hotay thay
Kahan par kho gaye hain
Sunaai kiyon nahin detay ?
Na janay kiyon
Meri aankhon ko her manzir
Bhout tareek lagta hai