Apr 30, 2016

Kiyon udas hai shajar Ae Adeem Hashmi


Kiyon udas hai shajar Ae Adeem Hashmi
Kon le gaya samar Ae Adeem Hashmi

Ghoomta hai tu kidher Ae Adeem Hashmi
Raah dekhta hai ghar Ae Adeem Hashmi

Taish aur is qadar Ae Adeem Hashmi
Kuch khuda ka khouf kar Ae Adeem Hashmi

Jab woh ja chuka kahin jab woh aaye ga nahin 
Kiyon khula hua hai dar Ae Adeem Hashmi

Rah guzar hi rah guzar reh gayi meray liye 
Manzilein gayein kidher  Ae Adeem Hashmi

Teri sab musaftein kis kay kaam ayein gi 
Kya hua woh humsafar Ae Adeem Hashmi

Jis ko chor hi diya us ka zikar kya adeem 
Aur koi baat kar Ae Adeem Hashmi

Usi aik fard kay wastay meray dil main dard hai kis liye


Usi aik fard kay wastay meray dil main dard hai kis liye 
Meri zindagi ka mutalba wohi aik shakhs hai kis liye 

To jo shaher main hi muqeem hai to musafrat ki fiza hai kiyon 
Tera karwan jo nahin gaya to hawa main gard hai kis liye 

Na jamal-o-husan ki bazam hai na junon-o-ishq ka azam hai 
Sar dasht-e-raqs main her gharri koi gard-baad hai kis liye 

Teray husan se yeh pata chala tujhay dekh kar yeh khabar hui 
Jahan raasta hi nahin koi wahan reh'noord hai kis liye 

Jo likha hai meray naseeb main kahin tu ne parh to nahin liya 
Tera haath sard hai kis liye tera rang zard hai kis liye 

Woh jo tark-e-rabt ka ehad tha kahin tootnay to nahin laga 
Teray dil kay dard ko dekh kar meray dil main dard hai kis liye 

Koi wasta jo nahin raha , teri aankh main yeh nami hai kiyon 
Meray gham ki aag ko dekh kar , teri aah sard hai kis liye 


Tum gaye sari mehfil ujar jaye gi log saray kay saray chalay jayein gay


Tum gaye sari mehfil ujar jaye gi log saray kay saray chalay jayein gay 
Hum mohabbat kay maron ka dar hai agar hum mohabbat kay maray chalay jayein gay 

Pyas dil kay naseebon main hai to rahay pyas ka aur pani ka rishta to hai 
Koi shikwa hai lehron ko hum se agar hum kinaray kinaray chalay jayein 

Qarz tum apni chahat ka do ya na do hum to apni mohabbat kay maqrooz hain 
Tum palat kay pukaro na hum ko magar hum tumhi ko pukaray chalay jayein gay 

Kaisi duniya main aa kay basera kiya , mil kay bhi jis main hona hai sab ko juda 
Teray pyaray bhi saray chalay jayein gay meray pyaray bhi saray chalay jayein gay 

Raat thehro zara raat thehro abhi do gharri aur andhera zara rok lo 
Dhoondna hai muqadar ka tara hamein , din hua to sitaray chalay jayein gay 

Tum na aayo to kya bhool jao to kya , hum ko jitna bhi jeen ahai jeena to hai 
Dosti jo nahin zindagi hi sahi , zindagi hi guzaray chalay jayein gay

Tum bhi apnay saharay chalay jao gay hum bhi apnay saharay chalay jayein gay


Tum bhi apnay saharay chalay jao gay 
Hum bhi apnay saharay chalay jayein gay 
Jo maza raasta mil kay chalnay main hai 
Woh mazay bhi to saray chalay jayein gay 

Mil kay chalnay se manzil na koi milay 
Mil kay chalnay se raasta to kat jaye ga 
Tumhamaray saharay chalay jao gay 
Hum tumharay saharay chalay jayein gay 

Koi jo bhi kahay koi jo bhi karay 
Dil main toofan mohabbat kay ruktay nahin 
Tum bhi hum ko pukaray chalay jao gay 
Hum bhi tum ko pukaray chalay jayein gay 

Aa kay dekho muqabil hamaray zara 
Aisay waisay to hum bhi juwari nahin 
Tum dil-o-jaan jeetay chalay jao gay 
Hum dil-o-jan haaray chalay jayein gay 

Woh haseen hai Adeem us ka mansib hai 
Yeh qatal karta rahay  muskurata rahay 
Tum bhi jaan is pe waray chalay jao gay 
Hum bhi jaan us pe waray chalay jayein gay


Phir jurm-e-mohabbat bhi hai tazeer bhi , main bhi


Phir jurm-e-mohabbat bhi hai tazeer bhi , main bhi 
Be'taab hain phir qaid bhi , zanjeer bhi main bhi 

Tum mujh se milo ya mera likha hua parh lo 
Hum aik tarah hain meri tehreer bhi main bhi 

Manzil thi kisi paon kay neechay kahin matti 
Kehnay ko to hum'rah thay rah'geer bhi main bhi 

Qismat se koi rabt na tha loh-e-jabeen ka 
Do lakhat rahay hain meri taqdeer bhi main bhi 

Woh husan ! keh alfaaz kay bas main hi nahin hai
Hairat main paray hain meri tehreer bhi main bhi

Talib hain teray adal kay , zanjeer bhi main bhi


Talib hain teray adal kay , zanjeer bhi main bhi 
Hazir dil sad chaak bhi hai , teer bhi main bhi 

Phir jurm-e-mohabbat ki sada ki hai sama'at 
Phir ik katehray main hain , zanjeer bhi main bhi 

Qaidi hain na azad na marboot na be'rabt 
Ik umar se mushkil main hain , zanjeer bhi main bhi 

Dono ki kabhi nibh na saki umar bita di 
Roothay hi rahay hain , meri taqdeer bhi main bhi 

Hum saath rahay jurm-e-wafa jab bhi hua hai 
Taqseer bhi , taqdeer bhi , zanjeer bhi , main bhi

Gham hai wahin pe gham ka sahara guzar gaya


Gham hai wahin pe gham ka sahara guzar gaya 
Dariya tehar gaya hai kinara guzar gaya hai 

Bas yeh safar hayat ka , itni si zindagi 
Kiyon itni jaldi raasta sara guzar gaya 

Woh jis ki roshni se chamakna tha bakhat ko 
Kis aasman se woh sitara guzar gaya 

Kya zikar us gharri ka karri thi keh sehal thi 
Jo waqat jis tarah bhi guzra , guzar agya 

Tafheem dosti main bari bhool ho gayi 
Phir door se hi dost hamara guzar gaya 

Kar kay yaqeen phir se , keh main mushkalon main hoon 
Thehra nahin woh shakhs dobara guzar gaya 

Ik waqat khush naseeb sa aaya to tha Adeem 
Madham si ik sada main pukara guzar gaya 

Mujrim hua tha aankh jhapaknay ka main Adeem 
Jo zehan main basa tha nazara guzar gaya

Kis hawalay se mujhay kis ka pata yaad aaya


Kis hawalay se mujhay kis ka pata yaad aaya 
Husan-e-kafar ko jo dekha to Khuda yaad aaya 

Aik toota hua paiman-e-wafa yaad aaya 
Yaad aaya bhi mujhay to aaj kya yaad aaya 

Sham kay haath ne jis waqat laga li mehandi 
Mujhay us waqat tera rang-e-hina yaad aaya 

Kahin aankhon ki nami raaz na afshaa kar de 
Main ne munh phair liya jo zara yaad aaya 

Saray funkaar utha laye thay shah'karon ko 
Aur main tha mujhay andaaz tera yaad aaya 

Kitni duniya thi meray gird tujhay kya maloom 
Bari mushkil se mujhay tera pata yaad aaya 

Teray daman main nami itni ziyada kiyon hai 
Kon sa phool tujhay baad-e-saba yaad aaya 

Jab kisi ko koi umeed wafaon ki na thi 
Mujhay us pal tera paiman-e-wafa yaad aaya 

Qadam uth'tay thay kahan su-e-haram apnay Adeem 
Aaj mushkil nazar aayi to Khuda yaad aaya

Zinda Adeem reh gaye hum thay jo gham ko seh gaye


Zinda Adeem reh gaye hum thay jo gham ko seh gaye 
Warna to sang-e-koh kay pani kay sang beh gaye 

Jo na kisi ne bhi kaha hum ussay woh bhi keh gaye 
Baat koi na thi magar ranj ki ro main beh gaye 

Ehal-e-jamal-o-husan kay pehlay kai hijaab thay 
Ishq-o-junoon kay samnay aur bhi teh-ba-teh gaye 

Husan tha aur ishq tha naam nahin tha khouf ka 
Saray jahan kay samnay sari hi baat keh gaye 

Duniya gharz ki raah se aagay bhout nikal gayi 
Hum keh jo be'gharz banay peechay bhout hi reh gaye 


Chand se is zameen ko kitni hi chandni mili 
Aur zameen kay saye main kitnay hi chand geh gaye

Gham bhi wahin pe reh gaya hum bhi wahin pe reh gaye


Gham bhi wahin pe reh gaya hum bhi wahin pe reh gaye 
Daman-e-chasham se magar aansu tamaam beh gaye 

Us ne bhi kuch nahin kaha Hum ne bhu kuch nahin kaha 
Woh bhi ghamon ko seh gaya hum bhi ghamon ko seh gaye 

Charon taraf jahan main jis pe saza-e-hijar thi 
Woh bhi woh baat keh gaya hum bhi woh baat keh gaye 

Her koi kar kay aankh num mujh ko suna raha hai gham 
Lagta hai sab jahan kay gham meray liye hi reh gaye 

Hum se bata jahan-e-gham kya tujhay aur chahiye 
Sun'nana bhi jo mohaal thay hum to woh gham bhi seh gaye 

Kehnay lagay keh dosti sirf nahin hai zindagi 
Log ajeeb to na thay baat ajeeb keh gaye

Pehlay falak pe noor ka meenar ban gaya


Pehlay falak pe noor ka meenar ban gaya 
Phir is zameen pe saya-e-dewar ban gaya 

Maathay pe dil kay haal ki surkhi likhi gayi 
Insan na main hua koi akhbar ban gaya 

Jis din se main ne nirkh wafa kay barha diye 
Sara hi shaher mera kharidaar ban gaya 

Hona tha yeh mazaq bhi ik din junoon kay saath 
Dil bhi Adeem sahib-e-kirdar ban gaya 

Shayed mujhay hi dekh kay duniya sambhal sakay 
Main is liye adeem gunah'gaar ban gaya 

Ik main , aur us pe woh bhi mera yaar ban gaya


Ik main , aur us pe woh bhi mera yaar ban gaya 
Dewar par bhi saya-e-dewar ban gaya 

Us ne to mujh pe khol diya tha dar-e-wisal 
Apna zameer raah ki dewaar ban gaya 

Sab aik hi nazar se ussay dekhnay lagay 
Lagta hai sab ka aik hi kirdaar ban gaya 

Main ne mujasmay ko teray naqsh kya diye 
Pathar zara si dair main shah'kaar ban gaya 

Aisay Adeem aansu khushi main rawan huye 
Jaisay keh motiyon ka koi haar ban gaya 

Masloob aur saleeb galay mil gaye Adeem
Ik la'zawal wasal sar-e-daar ban gaya 


Bari si umar hui do'dhiya se baal huye


Bari si umar hui do'dhiya se baal huye 
Woh itna pyara hua jitnay maah-o-saal huye 

Kai jawab diye aur kai sawal huye 
Nahin huye woh nahin aashna-e-haal huye

Ussay bhi waqat ki matti ne gard posh kiya 
Libas jis kay zamanay main be'misal huye 

Ik aisay mor pe dono ko jab bicharna tha 
Taluqaat huye to kahan bahaal huye 

Meray naseeb ne gard aashna ussay bhi kiya 
Jo phool us ne diye woh bhi pai'maal huye 

Nahin keh haath kisi ne kabhi nahin thaama 
Par aisay log zamanay main khaal khaal huye 

Koi kamal nahin tha hamari qismat main 
Hum is liye to zamanay main la'zawal huye 

Sukhan wari main naseebon ka haath bhi hai Adeem 
Kiye kamal to seh'wan bhi kuch kamal huye

Aankhon ko teri aankh ka jaadu dikhai de


Aankhon ko teri aankh ka jaadu dikhai de 
Teri tarah hi dasht main aahu dikhai de 

Yeh kya teray wisal ka pehlu dikhai de 
Yeh main dikhai doon keh mujhay tu dikhai de 

Muthi ki kainaat main jugnoo bhi aaftab 
Suraj bhi kainaat main jugnoo dikhai de 

Manzir main , main bhi hoon to mohabbat ki hai kami 
Meri jaga bhi kaash mujhay tu dikhai de 

Main yeh bhi teray husan ka pehlu dikha sakon 
Ae kaash teray wasal ki khushbu dikhai de 

Sab ko pukarta hoon usi naam se Adeem 
Main kya karon keh woh mujhay her su dikhai de 

Woh aik hai to dil ka sambhalna mohaal hai 
Kya ho agar mujhay woh lab-e-ju dikhai de 

Kuch log jin ko fikar-e-ziyan de diya gaya


Kuch log jin ko fikar-e-ziyan de diya gaya 
Kuch woh hain jin ko sara jahan de diya gaya 

Dil ki mohabbaton ka bahao hai jis tarah 
Dariya hai , jis ko aab-e-rawan de diya gaya 

Aankhon ko samnay kay ilaqay diye gaye 
Dil ko chupa hua bhi jahan de diya gaya 

Izhar-e-ishq woh bhi baru-e-sitam'garan 
Koh-e-garan ko sang-e-garan de diya gaya 

Jaisay harray shajar ko laga di gayi ho aag 
Kuch is tarah ka dil ko dhuwan de diya gaya 

Bichray nahin , woh baat bicharnay ki yaad rahay 
Ghao nahin diya hai , nishan de diya gay 

Rehta kissay adeem baharon ka intizaar 
Acha hua keh ehad-e-khizan de diya gaya 

Roz-e-hisab , khouf-e-hisab us ko hai Adeem 
Woh jis ko fikar-e-sood-o-ziyan de diya gaya

Chal diya woh dekh kar pehlu meri taqseer ka


Chal diya woh dekh kar pehlu meri taqseer ka 
Doosra rukh us ne dekha hi nahin tasveer ka 

Baqi saray khat pe dhabbay aansu'on kay reh gaye 
Aik hi jumla parha main ne teri tehreer ka 

Tu ne kaisay lafz honton ki kamaan main kas liye 
Itna gehra ghao to hota nahin hai teer ka 

Azar baqi chaal main hai qaid ko baqi nahin 
Paon aadi ho gaya hai is qadar zanjeer ka 

Aa gayi kashti bhatak kar aab se su-e-sarab 
Bhar gaya reg rawan se jaal mahi geer ka 

Baat choti to nahin tujh se bicharnay ki hai baat 
Faisala tasleem kar loon kis tarah taqdeer ka 

Yaar logon ne ussay kutba bana dala Adeem 
Aakhri pathar bacha jo umar ki tameer ka 

Doston se bhi taluq ban gaya hai woh Adeem 
Jo taluq hai kisi shamsheer se shamsheer ka 

Zehar ki aankhon main roshan suratein do hain Adeem 
Shakal ik suqraat ki aur aik chehra heer ka

Jab ussay chaha to chaha her tarah kay haal main


Jab ussay chaha to chaha her tarah kay haal main 
Her tarah ka husan dekha us kay khad-o-khaal main 

Chal rahi hai yeh zameen zindan ki chaki ki tarah 
Pis rahay hain log kya kya us kay maah-o-saal main 

Misal-e-maahi waqat kay haathon se phisli to bhout 
Phans gayi aa kar jawani jhuriyon kay jaal main 

Intihaon par rahay hum darmiyan thehray nahin 
Aasman ki ooj par ya gir gaye pa'taal main 

Yeh bhi kya insaaf hai Ae munsaf-e-wasal-o-firaq 
Us ki aadhi bhi jhalak dekhi na pooray saal main 

Ibtida se hashar tak sab teen pinjron main hain qaid 
Koi mazi , koi mustaqbil main , koi haal main 

365 dareechay waqf suraj kay liye 
Chand ki khatar bani bara dari her saal main 

Main ne socha tha kisi ko main bhi dhoka doon Adeem 
Shakal apni hi nazar aayi sabhi ashkaal main

Apnay hi dost-o-pa meray apnay raqeeb ho gaye


Apnay hi dost-o-pa meray apnay raqeeb ho gaye 
Teray baghair phail kar bazu saleeb ho gaye 

Koi hansa to ro paray roya to muskura diye 
Ab kay teri judai main hum to ajeeb ho gaye 

Aaj bhi dekh dekh kar waday ka din guzar gaya 
Aaj bhi phail phail kar saye moheeb ho gaye 

Loh-e-jabeen pe is tarah likhi gayein musaftein 
Itna chalay keh raastay apna naseeb ho gaye 

Shiddat-e-gham ko dekh kar gham ko bhi reham aa gaya 
Woh jo kabhi raqeeb thay woh bhi habib ho gaye 

Hum se Adeem faisalay kitnay ajeeb ho gaye 
Rakhna tha jin se faasla un kay qareeb ho gaye 

Us ki rafaqaton se hum kitnay ameer thay Adeem 
Woh jo bichar gaya to hum kitnay ghareeb ho gaye

Woh jis ne kuch kaha hi nahin tha jawab main


Woh jis ne kuch kaha hi nahin tha jawab main 
Chehra wohi dikhai diya hai gulaab main 

Dekha hai jitni baar bhi is ko hijaab main 
Aisay laga keh phool khila hai niqaab main 

Shamil kabhi hui thi judai nisab main 
Sehmay huye hain lafz abhi tak kitab main 

Ik baar us ko ro kay bhout yaad kar liya 
Phir is kay baad woh kabhi aaya na khawab main 

Tu yeh to dekh main ne tujhay muntakhib kiya 
Kitna jafa pasand hoon main intikhab main 

Su-e-falak uthai nazar us ne kya Adeem 
Apna hi aks dekh liya mahtaab main

Zindagi sirf isi dhun main guzaray jayein


Zindagi sirf isi dhun main guzaray jayein 
Bas tera naam , tera naam pukaray jayein 

Jab yeh teh hai keh yahan koi nahin aaye ga 
Kis ki khatar dar-e-dewar sanwaray jayein 

Aik tujh tak na ponch paye meray dard ki aanch 
Aasman tak to meray gham kay shararay jayein 

Jab mulaqaat na thi tab to koi baat na thi 
Ab yeh tanhai kay din kaisay guzaray jayein 

Yahan gham'khawar nahin hai wahan azaar nahin 
Kis jahan main yeh teray dard kay maaray jayein 

Main andheron main nahin main to wahan jaon ga 
Woh jahan saath meray chand sitaray jayein 

Jeet kar to kahin lay jaye musalsal hum ko 
Aur hum roz teri chah main haaray jayein 

Marg-e-jaan gar na sahi marg-e-mohabbat hi sahi 
Zindagi kuch to tera qarz utaaray jayein 

Faaslon se na hua josh-e-mohabbat ka ilaaj 
Yeh to kuch aur bhi jazbon ko ubharay jayein 

Bazam-e-ehbaab to tasveer ka aik rukh hai Adeem 
Is main dushman bhi to do chaar hamaray jayein 

Wasal kay baad mohabbat ki saza theek Adeem 
Maaray jayein bhi to kiyon muft main maaray jayein

Kaisi bhala yeh barhami kaisa yeh page-o-taab hai


Kaisi bhala yeh barhami kaisa yeh page-o-taab hai
Jaisa tera sawal hai waisa mera jawab hai

Tu hai falak to main zameen yeh to nahin keh main nahin
Zarha-e-khaak main bhi hoon tu agar aaftab hai

Ghar se chali hai khubaru aik hajoom chaar su
Rang hai ya saza koi husan hai ya azaab hai

Miltay rahein to zindagi ginti ki chaar saa'atein
Bichrein to aik aik pal muddat-e-be'hisab hai

Umar-e-daraaz hijar se wasal ka aik pal bhout
Itni gharri to mil mujhay jitni gharri habaab hai

Phool wohi chaman wohi , sara hi baank'pan wohi
Aik hi shaakh par koi kaanta , koi gulaab hai

Aik sa hai muqabla dono main koi kam nahin
Jaisi haseen aankh hai waisa haseen khawab hai

Duniya main kon kon hai yeh to zara bataiye
Saray jahan kay lab pe hai duniya bari kharab hai

Shaakh-e-gulaab par Adeem lagtay hain dil khilay huye
Sehan-e-badan main dil Adeem lagta hai ik gulaab hai

Ashkon ki ik taraf Adeem doobi hui hai chashm-e-tar
Ashkon ki doosri taraf her koi zer-e-aab hai

Baarish hai aansu'on ki zameen pe jharri hui


Baarish hai aansu'on ki zameen pe jharri hui 
Phir bhi hai dil main dard ki nadi charhi  hui 

Baqi tamam umar bicharnay ki baat thi 
Milnay ki guftagoo to gharri do gharri hui 

Yeh raah to chuni thi judai kay wastay 
Yeh aarzu'-e-wasal kahan aa kharri hui 

Yeh raah ki nahin , yeh muqaddar ki baat hai 
Manzil chunni hai jo wohi manzil karri hui 

Sun to sahi hawa-e-khizan dekh to sahi 
Kya keh rahi hai phool ki pati jharri hui 

So saal bhi to lamha ba'lamha baray huye 
Yeh umar is tarah bhi gharri ki gharri hui 

Ik pal main jo hai doosray pal main nahin hai woh 
Her ik gharri main umar zara si barri hui 

Taray falak pe aankh main aansu wisal kay 
Yeh raat motiyon se hai sari jarri hui  

Is kay liye to raah-e-wafa chahiye Adeem 
Her raah main nahin hai mohabbat parri hui 

Kis ki majaal arz-o-sama ko hila sakay 
Jo cheez jis jaga thi wahin hai parri hui 

Zouq-e-sukhan yeh naaz youn hi to nahin Adeem 
Hum ne bhi Meer zaa ki ghazal hai parhi hui 

Nazrein parein zara si teri kainaat par 
Dekhi , bina baghair imaarat kharri hui 

Adam hai aik no-e-bashar mukhtalif Adeem 
Sachi hai baat phir bhi lagi hai gharri hui

Apr 29, 2016

Agar main toot kar zarhon main bikhar jaon


Agar main toot kar zarhon main bikhar jaon 

Phir bhi mera dard kabhi nu'mayan nahin ho sakta

Hadood-e-aqal hai ibtada-e-junoon


Hadood-e-aqal hai ibtada-e-junoon 

Koi dewana hi janay ishq-e-fanoon

Raat youn dil main teri khoi hui yaad aayi



Raat youn dil main teri khoi hui yaad aayi 
Jaisay veeranay main chupkay se bahar aaye 

Jaisay sehraon main holay se chalay baad-e-naseem 
Jaisay beemar ko be'wajah qaraar aa jaye

Zaroori nahin alfaaz hi mafhoom hon


Zaroori nahin alfaaz hi mafhoom hon 

Dard bhi ik apni zuban rakhtay hain

Aqal ne kiya gum'rah mujhay



Aqal ne kiya gum'rah mujhay 

Nadan thay to achay thay

Kitna shor hai meray andar dil kay toot janay ka


Kitna shor hai meray andar dil kay toot janay ka 

Ehsaas tak na hua mujhay Rab kay rooth janay ka

Ta'ajub hai mujhay waqat ki raftaar pe


Ta'ajub hai mujhay waqat ki raftaar pe 

Yahan ik pal nahin kat'ta aur umar beet gayi

Yeh mohabbat tujhay wali kar day


Yeh mohabbat tujhay wali kar day 

Tu agar seekh lay wafa karna

Dard bhi khud hoon aur dawa bhi khud hoon


Dard bhi khud hoon aur dawa bhi khud hoon 

Apnay her sawal ka main jawab bhi khud hoon

Faqar main fikar hi kya kuch kho janay ki


Faqar main fikar hi kya kuch kho janay ki 

Yahi to ik raah hai Ya'Rab tujhay panay ki

Eham yeh nahin keh main kya hoon


Eham yeh nahin keh main kya hoon 

Eham yeh hai keh main kon hoon

Manzalon ka pata lagana kiyon


Manzalon ka pata lagana kiyon 
Hai musafir to phir thikana kiyon 

Raastay main agar bicharna hai 
Phir qadam se qadam milana kiyon 

Jissay ehsaas hi nahin koi 
Haal dil ka ussay sunana kiyon 

Kiyon kisi ne kisi ko chor diya 
Phir wohi waqiya purana kiyon 

Ajnabiyat main yeh tarap to na thi 
Sochta hoon keh us ko jaana kiyon 

Ab to us ka koi ilaaj nahin 
Tu ne dil ka kaha maana hi kiyon 

Qurbatein kiyon na thein muqaddar main 
Lay gaya dour Aab-o-dana kiyon 

Khat chuppay ga kis tarah se mehram-e-dil'geer ka


Khat chuppay ga kis tarah se mehram-e-dil'geer ka 
Lafz her ik bolta hai pyar ki tehreer ka 

Hai yahi jannat mujhay hissa meri jageer ka 
Shakh aik ziytoon ki aur ik shajar injeer ka 

Teray chehray ka ta'sur , teri aankhon ka khumaar 
Husan aisa to nahin hai wadi-e-kashmir ka 

Motiyon jaisay hain aansu phool jaisi hai hansi 
Kon sa rukh samnay rakhon teri tasveer ka 

Woh jahan kuch bhi nahin hai us ki yadon kay siwa 
Hai wohi to qeemti hissa meri jageer ka 

Jab mohabbat ka mehal apna aasra hai Adeem 
Kya koi armaan rahay dil main kisi tameer ka 

Jo naseebon main nahin main woh zara le loon Adeem 
Woh to mil hi jaye ga hissa hai jo taqdeer ka 

Aankhon main aansu'on ko ubharnay nahin diya


Aankhon main aansu'on ko ubharnay nahin diya 
Matti main motiyon ko bikharnay nahin diya 

Jis raah par parray thay teray paon kay nishan 
Us raah se kisi ko guzarnay nahin diya 

Chaha to chahaton ki hadon se guzar gaye 
Nasha mohabbaton ka utarnay nahin diya 

Her baar hai naya teray milnay ka zaiqa 
Aisa samar kisi bhi shajar ne nahin diya 

Yeh hijar hai to is ka faqat wasal hai ilaaj 
Hum ne yeh zakham waqat ko bharnay nahin diya 

Itnay barray jahan main jaye ga tu kahan 
Is ik khayal ne mujhay marnay nahin diya 

Saahil dikhai de to raha tha bhout qareeb 
Kashti ko raasta hi bhanwar ne nahin diya 

Jitna sakoon mila hai teray saath rah main 
Itna sakoon to mujhay ghar ne nahin diya 

Us ne hansi hansi main mohabbat ki baat ki 
Main ne Adeem us ko mukarnay nahin diya

Niklay gi jab bhi rooh badan ki kaman se


Niklay gi jab bhi rooh badan ki kaman se 
Aaye ga teer door bhout aasman se 

Yeh baar-e-khaak tan se utarnay to do zara 
Hairat main doob jayo gay us ki uraan se

Kitnay gawah qatal-e-wafa kay thay chasham-e-deed 
Ik lafaz bhi na nikla kisi ki zuban se

Yeh faaslay dilon kay samandar ki misal hain 
Us ka makan to door nahin hai makan se

Jo ghao bhar gaya hai ussay dekhtay ho kya 
Takleef ka pata na chalay ga nishan se

Logon kay ashk ponjh kar aisay laga Adeem 
Khushiyan khareed li hain ghamon ki dukan se

Ik pal baghair dekhay ussay kya guzar gaya


Ik pal baghair dekhay ussay kya guzar gaya 
Aisay laga keh aik zamana guzar gaya 

Sab kay liye buland rahay haath umar bhar 
Apnay liye duaon ka lamha guzar gaya 

Koi hajoom-e-dehar main karta raha talaash 
Koi raah-e-hayat se tanha guzar gaya 

Milna to khair us ko naseebon ki baat hai 
Dekhay huye bhi us ko zamana guzar gaya 

Dil youn katta hua hai kisi ki judai main 
Jaisay kisi zameen se dariya guzar gaya 

Is baat ka malaal bhout hai mujhay Adeem 
Woh meray samnay se akela guzar gaya 

Hum dekhnay ka dhang samjhtay rahay Adeem 
Itnay main zindagi ka tamasha guzar gaya 

Baqi bas aik Naam-e-Khuda reh gay Adeem 
Sab kuch baha kay waqat ka dariya guzar gaya

Shamil tha yeh sitam bhi kisi kay nisab main


Shamil tha yeh sitam bhi kisi kay nisab main 
Titli mili hanoot purani kitab main 

Dekhon ga kis tarah se kisi ko azab main 
Sab kay gunnah daal de meray hisaab main 

Phir be'wafa ko behr-e-mohabbat samjh liya 
Phir dil k nao doob gayi hai saraab main 

Pehlay gulab us main dikhai diya mujhay 
Ab woh mujhay dikhai diya hai gulab main 

Woh rang-e-Aatishein woh dehakta hua shabaab 
Chehray ne jaisay aag laga di niqaab main 

Baarish ne apna aks kahin dekhna na ho 
Kiyon aainay ubharnay lagay hain habaab main 

Gardish ki teziyon en ussay noor kar diya 
Matti chamak rahi hai yahi aaftab main 

Us sang'dil ko main ne pukara to tha Adeem 
Apni sada hi loat kar aayi jawab main

Faisala us ne sunaya bhi nahin taqseer ka


Faisala us ne sunaya bhi nahin taqseer ka 
Par gaya hai dil pe pehlay hi nishan zanjeer ka 

Koi kehta hai milein gay , koi kehta hai nahin 
Kuch pata chalta nahin hai khawab ki tabeer ka 

Kaghazon main to koi ehsaas ka ansar nahin 
Rang urta jaa raha hai kiyon teri tehreer ka 

Roz kitnay karwan jatay hain su-e-aasman 
Naqsh-e-paa milta nahin lakin kisi raah'geer ak 

Dard likh kar de diye hain us ne saray hi Adeem 
Us ne hissa de diya mujh ko meri jageer ka

Mil rahay hain umar bhar alehida nahin huye


Mil rahay hain umar bhar alehida nahin huye
Ghamon se mar gaye magar alehida nahin huye

Main kya karon kahan hanson kahan par aankh num karon
Kabhi hum is se pesh'tar alehida nahin huye

Hawa chali to youn chali keh aag aur barh gayi
Alaao se magar sharar alehida nahin huye

Woh margh'zaar tha koi keh regzaar tha koi
Bahar se kabhi shajar  alehida nahin huye

Kisi bhi dil se khawaishein nikal do gay kis tarah 
Kisi jaga zameen se ghar alehida nahin huye

Nazar ko jo bhala laga usi pe dil machal gaya 
Kabhi kahin dil-o-nazar alehida nahin huye

Kisi ki aankh num nahin kisi ko koi gham nahin 
Yeh be'hissi hai kiyon agar alehida nahin huye

Zara si aik boond main jahan larz larz gaya 
Adeem ashk-o-chasham-e-tar alehida nahin huye

Firaq-o-hijar se tarap nikal do gay kis tarah 
Adeem behar se bhanwar alehida nahin huye

Adeem gham ajeeb hain azal se hi qareeb hain 
Kabhi kisi maqam par alehida nahin huye

Kis khud gharz jahan main aana para mujhay


Kis khud gharz jahan main aana para mujhay 
Haath apnay haath se churana para mujhay 

Pehlay zameen ka bojh banaya mera wajood 
Phir is zameen ka bojh uthana para mujhay

Teray liye sana-o-ibadat ki khetiyan 
Apnay liye anaaj ugaana para mujhay 

Chahon to Ae Khuda teri aankhein na gin sakon 
Phir bhi uchal kay khud ko dikhana para mujhay 

Saat aasman hain Gosh-e-Khuda ki tarah moheet 
Phir bhi bhout hi shor machana para mujhay

Main itna be'niaz nain hoon teri tarah 
Tang aa kay teray samnay aana para mujhay 

Suraj ponch saka na andheray talak Adeem 
Raat aayi to chragh jalana para mujhay

Yeh to nahin urooj-e-baharan chasheeda hoon


Yeh to nahin urooj-e-baharan chasheeda hoon 
Ae mousam-e-khizan main abhi no'dmeeda hoon 

Hansta hoon is liye  keh tabasum guzeeda hoon 
Duniya samjh rahi hai sitam na'reseeda hoon 

Meri sada jidher hai udher ki hawa nahin 
Awaz hoon zaroor maga na'shaneeda hoon 

Woh samnay hai phir bhi mujhay dekhta nahin 
Main afreeda ho kay bhi na'afreeda hoon 

Ab tak sawal-e-hijar ka soojha nahin jawab 
Ik umar ho gayi hai youn hi sar'khameeda hoon 

Dar hai keh aansu'on main kahin tu doob na jaye 
Tu samnay na aa main abhi aab'deeda hoon 

Ik aaftab-e-hijar falak par hua talooh 
Lagta hai sad'hazar qayamat chasheeda hoon 

Sab aarzi haroof hain tehreer-e-waqat kay 
Mujh main yeh farq hai keh zara khat'kasheeda hoon

Dast-e-talab karon to bhala kis tarah daraaz
Maloom hai mujhay keh main daman da'reeda hoon 

Dhalta nahin nigah se manzar judai ka 
Halan'keh main to sham-o-sehar aab'deeda hoon

Phir wohi dewar woh hi dar lagay


Phir wohi dewar woh hi dar lagay 
Yeh to phir mujh ko usi ka ghar lagay 

Gard suraj kay zameen ghoomi bhout
Us gali main ya meray chakar lagay 

Khawaishon ki jab bhi had bandi karon 
Dairay se her koi baahir lagay 

Ik takhiyul aur phir tera khayal 
Par to pehlay bhi thay ab sheh'par lagay 

Jab kabhi aaya taqabal ka sawal 
Khud se saray hi log behtar lagay 

Jis tarah ka beej waisa hi samar
Phal darakhton ko zameen ko ghar lagay 

Us jaga pe chaaon paati hai wajood
Jis jaga par dhoop ko thokar lagay 

Her dar-o-dewaar ki maangon dua 
Mujh ko to her ghar hi apna ghar lagay 

Bhook dekhon jab kisi ki bhi Adeem 
Dana-e-gandum mujhay kankar lagay

Apr 28, 2016

Pehlay is dehleez se to sar lagay


Pehlay is dehleez se to sar lagay 
Phir agar lagti hai to thokar lagay 

Kya mujhay aata hai rasta aik hi 
Yeh to phir mujh ko usi ka ghar lagay 

Yeh kahin rasta isi ka to nahin 
Her qadam pe kiyon mujhay thokar lagay 

Aik pathar yaad hai us ko bhout 
Youn to pagal ko kai pathar lagay 

Phir bichar jaye hamesha kay liye 
Woh galay aik baar to aa kar lagay 

Sab main tha ehsaas lakin itna kam 
Mujh ko saray log hi pathar lagay 

Wasal us ka meri qismat main Adeem 
Dar lagay mujh ko bhout hi dar lagay 

Yeh to seedhi baat hai bikul Adeem 
Husan woh jo aankh ko behtar lagay 

Be'wafa ko galiyan de kar Adeem 
Yeh laga shaitan ko kankar lagay 

Koi itna to saa'rahay aakhir


Koi itna to saa'rahay aakhir 
Us ne waday to nibhaye aakhir 

Phir na milnay ki qasam toot gayi 
Mil gaye phir sar-e-rahay aakhir 

Youn tarapna tha jo machli ki tarah 
Tu ne chora ussay kaahay aakhir 

Kitnay chehray hain haseen duniya main 
Koi kis kis ko sarahay aakhir 

Chahnay ki bhi to had hoti hai 
Dil kahan tak ussay chahay aakhir 

Thak kay beemar bhi dam tor gaya 
Kab talak koi kaa'rahay aakhir

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...